Bharat Maa Ki Aankh Ke Taro By Ravi Shankar Sharma (Ravi)

Bharat maa ki aankh ke taro
Nanhe munne raj dularo
Jaise maine tumko sawaya
Waise hi tum desh sawara
Bharat maa ki aankh ke taro
Nanhe munne raj dularo
Jaise maine tumko sawaya
Waise hi tum desh sawara
Bharat maa ki aankh ke taro

Ye jo hai ek chota sa basta
Kismat ke phulo ka guldasta
Karishan hai isme ram hai isme
Ye basta isha ki kahani
Ye bata nanak ki bani
Isme chupi hai har sachai
Apna sukh oro ki bhalai
Is baste ko shish nawao
Is baste ko shish nawao
Bharat maa ki aankh ke taro
Nanhe munne raj dularo
Jaise maine tumko sawaya
Waise hi tum desh sawara
Bharat maa ki aankh ke taro

Chod ke jhuthi jate pate
Sab se sikho achi bate
Apna kisi se bair na samjho
Jag me kisi ko gair na samjho
Aap padho oro ka padhao
Ghar ghar gyan ki jyot jagao
Naw jiwan ki aas tumhi ho
Banta hua itihas tumhi ho
Jitna gahra andhiyara ho
Jitna gahra andhiyara ho
Utne unche deep ubharo
Bharat maa ki aankh ke taro
Nanhe munne raj dularo
Jaise maine tumko sawaya
Waise hi tum desh sawara
Bharat maa ki aankh ke taro

Ye sansar jo hamne sajaya
Ye sansar jo tumne paya
Is sansar me jhuth bahut hai
Jurm bahut hai lut bahut hai
Jurm ke aage sar ka jhukana
Har ek jhuth se takra jana
Is sansar ka rang badalna
Unch or nich ka dhang badalna
Sara jag hai desh tumhara
Sara jag hai desh tumhara
Sare jag ka rup nikharo
Bharat maa ki aankh ke taro
Nanhe munne raj dularo
Jaise maine tumko sawaya
Waise hi tum desh sawara
Bharat maa ki aankh ke taro
Nanhe munne raj dularo...

Song Details
Movie
Bahu Beti
Artist
Ravi Shankar Sharma (Ravi)
Music Directory
Ravi Shankar Sharma (Ravi)
Music Label
Saregama
Singers
Asha Bhosle
Lyricist
Sahir Ludhianvi

more lyrics from Bahu Beti

Aaj Hai Karwa Chauth
Bharat Maa Ki Aankh Ke Taro
Jiyo To Aise Jiyo
Meri Jaan Na Sata Tu
Meri Mang Ke Rang Me
Rangin Fiza Hai
Sab Mein Shamil Ho Magar