Mehfil Me Aap Aaye By Mohammed Zahur Khayyam

Mahfil me aap aaye
Mahfil me aap aaye jaise ke chand aaya
Mahfil me aap aaye jaise ke chand aaya

Ye rukh pe kali julfe julfe
Ye rukh pe kali julfe ye badlo ka saya
Mahfil me aap aaye jaise ke chand aaya

Aapke aane se
Aapke aane se is dil ne dhadkna sikha
Bin tere hos ke alam me bahakna sikha
Dard aaho ka maja kya hai ye jana hamne
Halki halki si kisi aanch me tapna sikha

Kuchh ham bhi or chamke chamke
Kuchh ham bhi or chamke
Kuchh dil bhi jagamagaya
Mahfil me aap aaye jaise ke chand aaya

Haye re rang badalna teri ranayi ka
Ab to muskil hai sambalna tere saudayi ka
Bekarari ka ye yuhi fiza mahan bahut
Gum na tha pahle is alam teri angadayi ka

Us par tera jhijhakana jhijhkana
Us par tera jhijhakana
Kuchh or rang laya
Mahfil me aap aaye jaise ke chand aaya

Tum na dekho to tamnna hame tadpati hai
Dekhte ho to kayamat si gujar jati hai
Muskurahat hai ke lahrati hai bijli jaise
Dekhiye aaj to kiski kaza aati hai

Ghabrayi samme mahfil mahfil
Ghabrayi samme mahfil
Parwana jagmagaya

Mahfil me aap aaye jaise ke chand aaya
Ye rukh pe kali julfe julfe
Ye rukh pe kali julfe ye badlo ka saya
Mahfil me aap aaye jaise ke chand aaya...

Song Details
Movie
Mohabbat Isko Kahete Hain
Artist
Mohammed Zahur Khayyam
Music Directory
Mohammed Zahur Khayyam
Music Label
Saregama
Singers
Mubarak Begum, Suman Kalyanpur
Lyricist
Majrooh Sultanpuri

more lyrics from Mohabbat Isko Kahete Hain

Aji Tum Kitne
Humse Hoti Mohabbat Jo Tumko
Itna Husn Pe Huzur
Jo Hum Pe Guzarti Hai
Mehfil Me Aap Aaye
Meri Nigah Ne
Thahriye Hosh Me