Aaj ki raat badi shokh badi natkhat hai
Aaj to tere binaa neend nahin aayegi
Ab to tere hi yahaan aane kaa ye mausam hai
Ab tabeeyat na khayaalon se bahal paayegi
Haay paani ki ye rimjhim ye guledaar phuhaar
Aise nas nas mein teri chaah jagaa jaati hai
Jaise pinjre mein kisi qaid pade panchhi ko
Apni aazaad udaanon ki yaad aati hai
Ab to aa jaao
Ab to aa jaao meri maang ke sindoor suhaag
Saans teri hai
Saans teri hai tere naam pe mit jaayegi
Aaj to tere binaa neend nahin aayegi
Aisi hi raat to wo thhi ke teri nazron ne
Mujhe pahnaayaa thaa jab pyaar ke kapdon kaa libaas
Aur us raat bhi aisi hi sharaabi thhi fizaa
Jab teri baahon mein mahki thhi meri saans-o-adaa
Aur ab aisi
Aur ab aisi jawaan rut mein akeli main hoon
Aa jaa warnaa
Aa jaa warnaa ye shamaa kaanp ke bujh jaayegi
Aaj to tere binaa neend nahin aayegi
Aaj ki raat badi shokh badi natkhat hai
Aaj to tere binaa neend nahin aayegi
Hmm hmm hmm
Par thahar wo jo wahaan
Par thahar wo jo wahaan lete hain footpaathon par
Laash bhhi jinki kafan tak na yahaan paati hai
Aur wo jhonpde chhat bhi na hai sar par jin ke
Chhaate chhappar hi jahaan zindagi so jaati hai
Pahle in sab ke liye
Pahle in sab ke liye ek imaarat gadh loon
Phir teri maang
Phir teri maang sitaaron se bhari jaayegi
Aaj to tere binaa neend nahin aayegi
Aaj ki raat badi shokh badi natkhat hai
Aaj to tere binaa neend nahin aayegi...
Song Details
- Movie
- Nai Umar Ki Nai Fasal
- Artist
- Roshanlal Nagrath (Roshan)
- Music Directory
- Roshanlal Nagrath (Roshan)
- Music Label
- Saregama
- Singers
- Asha Bhosle, Mohammed Rafi
- Lyricist
- Neeraj Pathak