Nagin Sa Roop Hai Tera By Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal)

Pani mein aag dekho
Kaise laga rahi hai
Gora badan chupa ke
Gori naha rahi hai
Aaksh ki pari hai ya
Koi aur hai tu
Ladki nahi hai jalim
Resham ki dor hai tu

Nagin sa roop hai tera
Main banke prem sapera
Le jaunga tujhko
Duniya dekhegi dekhegi
Nagin sa roop hai tera
Main banke prem sapera
Le jaunga tujhko
Duniya dekhegi
Ho le jaunga tujhko
Duniya dekhegi

Tu pahre lakh bithale
Tu parde lakh girale
Ha pahre lakh bithale
Tu parde lakh girale
Mahlo pe na itrana
Us dil ko na thukrana
Ye dil kya mahal se kam hai
Jisme hai tera basera
Nagin sa roop hai tera
Main banke prem sapera
Le jaunga tujhko
Dunia dekhegi

Jo pyar kiya karte hai
Marne se kab darte hai
Jo pyar kiya karte hai
Marne se kab darte hai
Tu apna mukh dikhla de
To kitne chand uda de
Tu zulfo ko bikhrade
To karde ghor andhera
Nagin sa roop hai tera
Mai banke prem sapera
Le jaunga tujhko
Duniya dekhegi

Agar aaj nahi kal hoga
Kuch sart laga chal hoga
Agar aaj nahi kal hoga
Kuch sart laga chal hoga
Jagega been ka jadu
Chham chham chham nachegi tu
Haske tere hotho se
Peelunga jahar mai tera
Nagin sa roop hai tera
Mai banke prem sapera
Le jaunga tujhko
Duniya dekhegi
Ho le jaunga tujhko
Duniya dekhegi
Le jaunga tujhko
Duniya dekhegi..

Song Details
Movie
Baghavat
Artist
Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal)
Music Directory
Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)
Music Label
EMI Music
Singers
Mohammed Rafi
Lyricist
Anand Bakshi

more lyrics from Baghavat

Ae Mere Deewane Dil
Banjare Hum Banjare
Duniya Se Duniya walo Se
Nagin Sa Roop Hai Tera
Yeh Apna Yarana