Ae Mere Deewane Dil By Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal)

Aaj mohabbat degi imtihan bhi
Dil hi nahi hum de sakte hai jaan bhi
Ae mere deewane dil
Ae mere deewane dil
Kurban tere ho jaaungi
Jab tak ghunghru tut na jaaye
Nachungi main gaaungi
Jab tak ghunghru tut na jaaye
Nachungi main gaaungi

Mere saath hue hai dhoke
Mere saath hue hai dhoke
Aaj na koi mujhko roke
Aansu mere kaam na aaye
Aansu mere kaam na aaye
Dekh liya maine ro ro ke
Aaj kaleja cheer ke apna
Apne kadam bichhaungi
Jab tak ghunghru tut na jaaye
Nachungi main gaaungi
Jab tak ghunghru tut na jaaye
Nachungi main gaaungi

Kismat mere saath nahi hai
Mere bas ki baat nahi hai
Kitni bhi kamjor sahi par
Bujdil aurat jat nahi hai
Kitni bhi kamjor sahi par
Bujdil aurat jat nahi hai
Ek akeli aaj main sari
Duniya se takraungi
Jab tak ghunghru tut na jaaye
Nachungi main gaaungi
Jab tak ghunghru tut na jaaye
Jab tak ghunghru tut na jaaye
Jab tak ghunghru tut na jaaye
Jab tak ghunghru tut na jaaye
Tut na jaaye..

Song Details
Movie
Baghavat
Artist
Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal)
Music Directory
Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)
Music Label
EMI Music
Singers
Asha Bhosle
Lyricist
Anand Bakshi

more lyrics from Baghavat

Ae Mere Deewane Dil
Banjare Hum Banjare
Duniya Se Duniya walo Se
Nagin Sa Roop Hai Tera
Yeh Apna Yarana