Bedardi Balma Tujhko Mera Maan Yaad Karta Hai By Various Artists

Aaa aaaa aaaa aaa aaa

Bedardi balma tujhko mera mann yad karta hai
Bedardi balma tujhko mera mann yad karta hai
Barasta hai jo aankho se woh sawan yad karta hai
Bedardi balma tujhko mera mann yad karta hai

Kabhi ham sath gujare jin sajili rehgujaro se
Fiza ke bhes me girte hain abb patte chanaro se
Yeh rahe yad karti hain, yeh gulshan yad karta hai
Bedardi balma tujhko mera mann yad karta hai
Barasta hai jo aankho se woh sawan yad karta hai
Bedardi balma tujhko mera mann yad karta hai

Koyi jhonka hawa ka jab mera aanchal udata hai
Guman hota hai jaise tu mera daman hilata hai
Kabhi chuma tha jo tune woh daaman yad karta hai
Bedardi balma tujhko mera mann yad karta hai
Barasta hai jo aankho se woh sawan yad karta hai
Bedardi balma tujhko mera mann yad karta hai

Woh hi hain jhil ke mandar woh hi kirno ki barsate
Jaha ham tum kiya karte the paharo pyar ki bate
Tujhe iss jheel ka kamosh darpan yad karta hai
Bedardi balma tujhko mera mann yad karta hai
Barasta hai jo aankho se woh sawan yad karta hai
Bedardi balma tujhko mera mann yad karta hai..

Song Details
Movie
Arzoo
Artist
Various Artists
Music Directory
Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
Music Label
Saregama
Singers
Lata Mangeshkar
Lyricist
Hasrat Jaipuri

more lyrics from Arzoo

Ai Nargise Mastana
Ai Phulon Ki Raani Bahaaron Ki Malikaa
Aji Hamse Bachkar Kahan Jaaiyega
Aji Ruth Kar Ab Kaha Jaaiyega
Bedardi Balma Tujhko Mera Maan Yaad Karta Hai
Chalke Teri Aankho Se Sharab Aur Jyada
Jab Ishq Kahin Ho Jata Hai