Aap Ke Anurodh Pe By Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal)

Aap ke anurodh pe mai yeh git sunata hu
Mai yeh git sunata hu
Aap ke anurodh pe mai yeh git sunata hu
Mai yeh git sunata hu
Apne dil kee bato se, aap kaa dil behlata hu
Aap ke anurodh pe…….

Mat puchho auro ke dukh me, yeh prem kavi kyoon rota hai
Mat puchho auro ke dukh me, yeh prem kavi kyoon rota hai
Bas chot kisi ko lagti hai, aur dard kisi ko hota hai
Dur kahee koyi darpan tute, tadap ke mai reh jata hu
Aap ke anurodh pe mai yeh git sunata hu
Mai yeh git sunata hu

Tarif mai jiski karta hu
Tarif mai jiski karta hu, kya rup hai woh, kya khushbu hai
Kuchh bat nahee aisi koyi, yeh ek suro kaa jadu hai
Koyal kee ek kuk se sabke, mann me huk uthata hu
Aap ke anurodh pe mai yeh git sunata hu
Mai yeh git sunata hu

Mai pehne phirta hu jo, woh janjire kaise banti hain
Yeh bhed bata du gito me, tasvire kaise banti hain
Sundar hotho kee lali se, mai rang rup churata hu
Aap ke anurodh pe mai yeh git sunata hu
Mai yeh git sunata hu
Apne dil kee bato se, aap kaa dil behlata hu
Aap ke anurodh pe..

Song Details
Movie
Anurodh
Artist
Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal)
Music Directory
Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)
Music Label
Saregama
Singers
Kishore Kumar
Lyricist
Anand Bakshi

more lyrics from Anurodh

Aaja Ho Aaja
Aap Ke Anurodh Pe
Aate Jate Khubsurat
Jab Dard Nahi Tha Sine Me
Tum Besahara Ho