Tum besahara ho toh kisi kaa sahara bano
Tum ko apne aap hee sahara mil jayega
Kashti koyi dubati pahuncha do kinare pe
Tum ko apne aap hee kinara mil jayega
Tum besahara ho toh kisi kaa sahara bano
Tum besahara ho toh
Hans kar jinda rehna padta hai, apna dukh khud sehna padta hai
Rasta chahe kitna lamba ho, dariya ko toh behna padta hai
Tum ho ek akele toh ruk mat jao chalo niklo
Raste me koyi sathi tumhara mil jayega
Tum besahara ho toh kisi kaa sahara bano
Tum besahara ho toh
Naa basti me naa virano me, naa kheto me naa khalihano me
Naa milta hai pyar bajaro me, naa bikta hai chain dukano me
Dhundh rahe ho tum jis ko, usako bahar mat dhundho
Mann ke andar dhundho pritam pyara mil jayega
Tum besahara ho toh kisi kaa sahara bano
Tum besahara ho toh..
Song Details
- Movie
- Anurodh
- Artist
- Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal)
- Music Directory
- Laxmikant Shantaram Kudalkar (Laxmikant Pyarelal), Pyarelal Ramprasad Sharma (Laxmikant Pyarelal)
- Music Label
- Saregama
- Singers
- Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
- Lyricist
- Anand Bakshi