Mandir ki murati si baithi,
Oo ho mandir ki murati si baithi
Hale na dole kuch bhi na bole
Oo ho hum dil deke fas gaye
Mandir ki murati si baithi,
Kya use bhaye kya na bhaye,
Hum to kuch bhi samjh nahi paye
Ho kitne jatan kiye hasne hasane ke,
Usko manane ke, pas bulane ke,
Hum hai pinjare me jaise panchhi
Oo ho, hum hai pinjare me jaise panchhi
Chahke na gaye yaha jabse aaye
Oo ho udne ko taras gaye
Hum hai pinjare me jaise panchhi
Bahati huyi ho nadiya ki dhara,
Gao ko le ja sandesha hamara
Mahaki hawa jane kidar se aayi hai,
Konse phulo ki khusabu churayi hai
Chanchal hawa hai tere jaisi, oo
Ho, chanchal hawa hai tere jaisi
Rokati na roke ye hawa ke jhoke
Teri khusabu me bas gaye,
Chanchal hawa hai tere jaisi
Jate huye jo in naino ko bhaye
Dekho lage hai darane, unhi baham ke saye
Darne ki kya bat hai gori,
Le tu tham le bahiya mori
Maan ki bato ko bin kahe jane re
Mit wahi hai jo maan pahchane re
Mai hu tera, tu hai meri, oo ho
Mai hu tera, tu hai meri, bole na bole
Hum bhi nahi bole, ek bandan me kas gaye
Mai hu tera, tu hai meri
Mai hu tera, tu hai meri..
Song Details
- Movie
- Abodh
- Artist
- Ravindra Jain
- Music Directory
- Ravindra Jain
- Singers
- Hemlata (Lata Bhatt), Suresh Wadkar
- Lyricist
- Ravindra Jain