O shama mujhe phoonk de
Main na main rahoon
Tu na tu rahe
Yahi ishq ka hai dastoor
Yahi ishq ka hai dastoor
Parwaane ja hai ajab chalan
Yahaan jeete jee apna milan
Qismat ko nahin manzoor
Qismat ko nahin manzoor
Shaam se lekar roj sahar tak
Tere liye main har raat jali
Shaam se lekar roj sahar tak
Tere liye main har raat jali
Maine to hay ye bhi na jaana
Kab din doobaa kab raat dhali
Phir bhi hai milne se mazboor
Phir bhi hai milne se mazboor
O shama mujhe phoonk de
Main na main rahoon
Tu na tu rahe
Yahi ishq ka hai dastoor
Yahi ishq ka hai dastoor
Pathhar dil hain ye jagwaale
Jaane na koyi mere dil ki jalan
Pathhar dil hain ye jagwaale
Jaane na koyi mere dil ki jalan
Jabse hai janmi pyaar ki duniya
Tujhko hai meri mujhe teri lagan
Tujhbin ye duniya benoor
Tujhbin ye duniya benoor
Parwaane jaa hai ajab chalan
Yahan jeete ji apna milan
Qismat ko nahin manzoor
Qismat ko nahin manzoor
Haay ree qismat andhi qismat
Dekh saki na meri teri khushi
Haay ree qismat andhi qismat
Dekh saki na meri teri khushi
Haay ree ulfat bebas ulfat
Roke thaki jal jalke mari
Dil jo mile kiska tha kusoor
Dil jo mile kiska tha kusoor
O shama mujhe phoonk de
Main na main rahoon
Tu na tu rahe
Yahi ishq ka hai dastoor
Yahi ishq ka hai dastoor
Parwaane jaa hai ajab chalan
Yahan jeete jee apna milan
Qismat ko nahin manzoor
Qismat ko nahin manzoor..
Song Details
- Movie
- Aashiq
- Artist
- Various Artists
- Music Directory
- Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
- Music Label
- Saregama
- Singers
- Lata Mangeshkar, Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
- Lyricist
- Shailendra (Shankardas Kesarilal)