Tum aaj mere sang hans lo
Tum aaj mere sang gaa lo
Tum aaj mere sang hans lo
Tum aaj mere sang gaa lo
Aur hanste gaate is jeewan ki uljhi raah sanwaaro
Tum aaj mere sang hans lo
Tum aaj mere sang gaa lo
Aur hanste gaate is jeewan ki uljhi raah sanwaaro
Tum aaj mere sang hans lo
Tum aaj mere sang gaa lo
Shaam kaa sooraj bindiyaa ban kar
Saagar mein kho jaaye
Shaam kaa sooraj bindiyaa ban kar
Saagar mein kho jaaye
Subah sawere wo hi sooraj aashaa lekar aaye
Subah sawere wo hi sooraj aashaa lekar aaye
Nayi umangen nayi tarangen
Aas ki jyot jalaaye re
Aas ki jyot jalaaye
Tum aaj mere sang hans lo
Tum aaj mere sang gaa lo
Tum aaj mere sang hans lo
Tum aaj mere sang gaa lo
Aur hanste gaate is jeewan ki uljhi raah sanwaaro
Tum aaj mere sang hans lo
Tum aaj mere sang gaa lo
Dukh mein jo gaaye malhaaren
Wo insaan kehlaaye
Dukh mein jo gaaye malhaaren
Wo insaan kehlaaye
Jaise bansi ke seene mein
Chhed hai phir bhi gaaye
Jaise bansi ke seene mein
Chhed hai phir bhi gaaye
Gaate gaate roye mayuraa
Phir bhi naach dikhaaye re
Phir bhi naach dikhaaye
Tum aaj mere sang hans lo
Tum aaj mere sang gaa lo
Aur hanste gaate is jeewan ki uljhi raah sanwaaro
Tum aaj mere sang hans lo
Tum aaj mere sang gaa lo..
Song Details
- Movie
- Aashiq
- Artist
- Various Artists
- Music Directory
- Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
- Music Label
- Saregama
- Singers
- Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
- Lyricist
- Hasrat Jaipuri