Sakshi Rehna Dharti Maata from Veer Bhimsen Movie (Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra))

Sakshi rehna dharti maata
He yamune ye gange
Aaj dropadi dekh rahi
Ye purush hai kitne nange
Are papiyo
Are papiyo pap tumhara
Tumko hi kha jayega
Nari ka apman kare jo
Wo samaj mit jayega
Are papiyo

Baithe dekho pathar ban kar
Maha rathi ye sare
Sunta hai brahmand kaapta
Unke dar ke mare
Hai koi maa ka lal
Hai koi maa ka lal
Yaha jo dusto ko lalkare
Chikh rahi hai bahan tumhari
Beti tumhe pukare
Kaun khara hai kaun khota
Aaj ye parkha jayega
Are papiyo
Are papiyo

Sunlo sau putro ki mata
Tum bhi ho ek nari
Ek bar to mujhko dekho
Mai kul vadhu tumhari
Dekho bikhre bal ye
Dekho bikhre bal ye mere
Meri ye lachari
Ab to aankh ki patti kholo
Ab mata gandhari
Tumse in andho ka
Ye andher na dekha jayega
Are papiyo
Are papiyo

Kan khol kar suno
Sati ki laz lutne walo
Kuch din aur nirlazzo
Apna nacha dikha lo
Dekh rahi mai dur disha me
Maha nash ki jwala
Pahnegi nar chandi ek din
Nar mundo ki mala
Ye bhishan anyay aaj ka
Khun se dhoya jayega
Nari ka apman kare jo
Wo samaj mit jayega
Are papiyo pap tumhara
Tumko hi kha jayega
Nari ko apman kare jo
Wo samaj mit jayega
Are papiyo...

Song Details
Movie
Veer Bhimsen
Artist
Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra)
Music Directory
Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra)
Music Label
Saregama
Singers
Asha Bhosle
Lyricist
Ramchandra Baryanji Dwivedi (Kavi Pradeep)

Other Lyrics from Veer Bhimsen

Aayi Aaj Vida Ki Bela
Dekho Bhagwan Ye Pyara
Dishao Saavdhan Hawaon Saavdhan
Jhuk Gayi Re Palak Aayi
Jiske Pyar Mein Aathon
Main Tum Pe Teer Chala Doon
Sakshi Rehna Dharti Maata
Sunaate Aaj Tumko

Other popular Lyrics by Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra)

Chand Chup Chap Hai (Daal Me Kala)
Gore Gore Mukhde (Patanga)
O Aasmanwale Shikwa Hai Zindagi Ka (Anarkali)
Aasha Ke Jab Dip Bujhe (Insaniyat)
Ab Darr Hai Kiska (Amar Deep)
Deewana Dil Gaaye (Baap Re Baap)
Dil Ki Kahani Kehna (Sagai)
Kaise Bhaye Sakhi Root Sawan Ki (Pehli Jhalak)
Mohabbat Meri Rang Lane (Nirala)
O Gori O Chhori (Nadiya Ke Par)