Sabko naach nachata
Phir bhi nazar nahin jo aata
Sabko naach nachata
Phir bhi nazar nahin jo aata
Aisi duniya ko bananewala kaun hai
Wohi shyaam hai
Ghanshyaam hai
Ambar se paani barsaata
Patthar mein jo phool khilata
Aisi duniya ko banaanewala kaun hai
Wohi shyaam hai
Ghanshyaam hai
Mala ghumaane se woh nahi milta
Woh nahi milta
Bhasma lagane se woh nahi hilta
Woh nahi hilta
Jopadiyon me phool woh khilta
Phool woh khilta
Koi garib ke aansoo me milta
Aansoo mein milta
Wohi pita hai wohi mata
Wohi sabka bhaagya vidhata
Aisa sarjanhaara sabka pyaara kaun hai
Wohi shyaam hai ghanshyaam hai
Sabko naach nachata
Phir bhi nazar nahin jo aata
Aisi duniya ko bananewala kaun hai
Wohi shyaam hai ghanshyaam hai
Ek hai raja ek bhikhari kyoon
Ek bhikhari
Ek achhut aur ek poojaari kyoon
Ek poojaari
Yeh bhed paapi humne banaaya hai
Humne banaaye
Woh to sabhi ke hai tan me samaya
Man mein samaya
Sabko ek pyaarse seecha
Koi oonch na koi neecha
Aisa ek samaan samajhnewala kaun hai
Wohi shyaam hai ghanshyaam hai
Sabko naach nachaata
Phir bhi nazar nahin jo aata
Aisi duniya ko banaanewaala kaun hai
Wohi shyaam hai ghanshyaam hai
Radheshyaam hai ghanshyaam hai
Radheshyaam hai ghanshyaam hai...
Apne Piya Ki Bani Re Joganiya |
Bharat Bhumi Mahan Hai |
Ja Ja Ja Chhod De O Chhaliya |
Nadiya Na Piye Kabhi Apna Jal |
Nag Dewta Trahimam Pahimam |
Sabko Naach Nachata |
Ye Duniya Banana |