Apni Ulfat Pe Zamaane Ka Na Pehra Hota from Sasural Movie (Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi)

Apni ulfat pe zamaane ka na pehra hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota
Pyaar ki raat ka koi na savera hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota
Apni ulfat pe zamaane ka na pehra hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota

Paas rehkar bhi bahut door bahut door rahe
Ek bandhan mein bandhe phir bhi to hum door rahe
Paas rehkar bhi bahut door bahut door rahe
Ek bandhan mein bandhe phir bhi to hum door rahe
Meri raahon mein na uljhan ka andhera hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota
Pyaar ki raat ka koi na savera hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota

Dil miley aankh mili
Pyaar na milne paaye
Baaghbaan kehta hai do phool na khilne paayen
Dil miley aankh mili
Pyaar na milne paaye
Baaghbaan kehta hai do phool na khilne paayen
Apni manzil ko jo kaanton ne na ghera hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota
Apni ulfat pe zamaane ka na pehra hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota

Ajab sulagti huyi lakdiyaan hain jagwaale
Mile to aag ugalte kate to dhoonwa karen
Ajab sulagti huyi lakdiyaan hai jagwaale
Mile to aag ugalte kate to dhoonwa karen
Apni duniya mein bhi sukh chain ka phera hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota
Apni ulfat pe zamaane ka na pehra hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota
Pyaar ki raat ka koi na savera hota
To kitna achha hota
To kitna achha hota...

Song Details
Movie
Sasural
Artist
Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
Music Directory
Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
Music Label
Saregama
Singers
Lata Mangeshkar, Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Lyricist
Hasrat Jaipuri

Other Lyrics from Sasural

Apni Ulfat Pe Zamaane Ka Na Pehra Hota
Ek Savaal Main Karun
Jaana Tumhare Pyar
Kya Mil Gaya
Sata Le Aayi
Sun Le Meri Paaylo Ke Geet
Teri Pyari Pyari Surat
Ye Albela Taur

Other popular Lyrics by Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi

Kya Hasino Ka Dil Nahi Hota (College Girl)
Jis Desh Mein Ganga Behti Hai (Title) (Jis Desh Men Ganga Behti Hai)
Kaisi Khushi Ki Hai (Nagina)
Chali Kaun Se Desh (Boot Polish)
Dil Ke Jharokhe Mein (Brahmachari)
Hum Bhi Karte Pyar (College Girl)
Main Gaoon Tum So Jao (Brahmachari)
Pehla Pehla Pyar Ka Ishara (College Girl)
Awaaz Deke Humein Tum Bulao (Professor)
Badatamiz Kaho Yaa Kaho Jaanavar (Budtameez)