Chali kaunse desh gujariya tu saj dhaj ke
Chali kaunse desh gujariya tu saj dhaj ke
Jaun piya ke desh o rasiya mai saj dhaj ke
Jaun piya ke desh o rasiya mai saj dhaj ke
Chali kaunse desh gujariya tu saj dhaj ke
Chhalke mat pita kee ankhiya, rowe tere bachapan kee sakhiya
Bhaiya kare pukar ho, bhaiya kare pukar naa jaa ghar aangan taj ke
Jau piya ke desh o rasiya mai saj dhaj ke
Chali kaunase desh gujariya tu saj dhaj ke
Dur desh mere pee kee najariya, mai unki hu mere sanwariya
Bandhi lagan kee dor ho
Bandhi lagan kee dor maine sab soch samajhake
Jau piya ke desh o rasiya mai saj dhaj ke
Chali kaunase desh gujariya tu saj dhaj ke
Do din jag me dhum machaye, jake koyee wapas naa aaye
Khoj khoj thak jaye ho
Khoj khoj thak jaye do naina chand suraj ke
Jau piya ke desh o rasiya mai saj dhaj ke
Chali kaunase desh gujariya tu saj dhaj ke..
Chali Kaun Se Desh |
Lapak Jhapak Tu Aa |
Nanhe Munne Bachche |
Taron Ko Dil Ki |
Thahar Zara O Jane |
Tumhare Hain Tumse |