Mere Banne Ki Baat from Gharana Movie (Ravi Shankar Sharma (Ravi))

Mere banne ki bat na puchho, mera banna hariyala hai
Mere banne ki bat na puchho, mera banna hariyala hai

Kyu na ho uski shan anokhi unche gharane wala hai
Mere banne ki bat na puchho, mera banna hariyala hai

Meri bani ke rup se ghar me charo taraf ujiyala hai
Meri bani ke rup se ghar me charo taraf ujiyala hai

Uske gore mukhade ke aage chand ka rang bhi kala hai
Meri bani ke rup se ghar me charo taraf ujiyala hai
Mere banne ki bat na puchho, mera banna hariyala hai

Dekh samdhan tu mere samne sekhi na jata
Kon sur khab kapar teri dulhan me hai laga

Usko duniya me koi puchhane wala hi na tha
Usko duniya me koi puchhane wala hi na tha

Wo to dulha ko dua de jo use bayah laya
Wo to dulha ko dua de jo use bayah laya

Teri bani ke gal hai papad, tedi medi aankhe hai
Aeji tedi medi aankhe hai, aeji tedi medi aankhe hai

Oo nak pakoda hoth hai sukhe uljhi uljhi julfe hai
Aeji uljhi uljhi julfe hai, aeji, uljhi uljhi julfe hai

Mera banna hai wo shajada jo najo ka pala hai
Mera banna hai wo shajada jo najo ka pala hai

Mere banne ki bat na puchho, mera banna hariyala hai
Meri bani ke rup se ghar me charo taraf ujiyala hai

Dekh banno mere aage tu badi bat na kar
Aisa hai tera bana jaise ho bura bandar

Karke shadi kiya ahshan dulhan ne us par
Karke shadi kiya ahshan dulhan ne us par

Warna aise ko bhala kon banata shohar
Warna aise ko bhala kon banata shohar

Tere banne ki unth si gardan, saras jaisi tange hai
Aeji, saras jaisi tange hai, aeji saras jaisi tange hai

Chuhe jaise kan hai uske, kchhuye jaisi chale hai
Aeji, kchhuye jaisi chale hai, aeji kchhuye jaisi chale hai

Mere banne ka najuk mukhada albela matwala hai
Mere banne ka najuk mukhada albela matwala hai

Meri bani ke rup se ghar me charo taraf ujiyala hai
Mere banne ki bat na puchho, mera banna hariyala hai

Baith sidhi ari samdhan na dikh ye garmi
Man le har tu ab chhod de ye hathdharmi

Ja ri ja mai nahi in bato se dabne wali
Ja ri ja mai nahi in bato se dabne wali

Tere muh kon lage yu na dikha besharmi
Tere muh kon lage yu na dikha besharmi

Ha mere banne ki sas nikammi, sasure hai das number ke
Aeji, sasure hai das number ke ha, ha sasure hai das number ke

Mere banni ki nanad nikhatu dhang bure hai ghar bharke
Aeji, dhang bure hai ghar bharke ha, ha dhang bure hai ghar bharke

Oo ho, teri dulhan ka sara gharana aafat chhipakar pala hai
Teri dulhan ka sara gharana aafat chhipakar pala hai

Mere banne ki bat na puchho, mera banna hariyala hai
Meri bani ke rup se ghar me charo taraf ujiyala hai

Mere banne ki bat na puchho, mera banna hariyala hai
Meri bani ke rup se ghar me charo taraf ujiyala hai

Mere banne ki bat na puchho, mera banna hariyala hai
Meri bani ke rup se ghar me charo taraf ujiyala hai

Mere banne ki bat na puchho, mera banna hariyala hai
Meri bani ke rup se ghar me charo taraf ujiyala hai

Mere banne ki bat na puchho, mera banna hariyala hai
Meri bani ke rup se ghar me charo taraf ujiyala hai
Mere banne ki bat na puchho, mera banna hariyala hai...

Song Details
Movie
Gharana
Artist
Ravi Shankar Sharma (Ravi)
Music Directory
Ravi Shankar Sharma (Ravi)
Music Label
Saregama
Singers
Asha Bhosle, Shamshad Begum
Lyricist
Shakeel Badayuni

Other Lyrics from Gharana

Daadi Ammaa Daadi Ammaa Maan Jaao
Ho Gayi Re Ho Gayi
Husn Wale Teraa Jawab Nahee
Jab Se Tumhe Dekha Hai
Jai Raghunandan
Mere Banne Ki Baat
Na Dekho Hume Ghur Ke
Ye Duniya Usi Ki

Other popular Lyrics by Ravi Shankar Sharma (Ravi)

O Nile Parbaton Ki Dhaaraa (Aadmi Aur Insaan)
Bacha Le Ae Maula Ae Ram (Aadmi Aur Insaan)
Tum Aaye To Hum Ko (Dahleez)
Itni Haseen Itni Jawaan Raat (Aaj Aur Kal)
Zindagi Ittafaaq Hai (Aadmi Aur Insaan)
Zindagi Ke Rang Kai (Aadmi Aur Insaan)
Mere Yaar Ki Shaadi Hai (Aadmi Sadak Ka)
Pehle Suoongi Phir (Babul Ki Galiyaan)
Bairi Chod De Mera Raasta (Babul Ki Galiyaan)
Dil Ki Kahani (Chaudhvin Ka Chand)