Dil gham se jal rahaa hai jale, par dhuan na ho
Dil gham se jal rahaa hai jale, par dhuan na ho
Mumkin hai iske baad koi, imtehaan na ho
Koi imtehaan na ho
Mumkin hai iske baad koi, imtehaan na ho
Koi imtehaan na ho
Duniyaa to kyaa, khudaa se bhi ghabaraake kahe diyaa
Duniyaa to kyaa, khudaa se bhi ghabaraake kahe diyaa
Ghabaraake kahe diyaa
Woh maherabaan nahin, to koi maherabaan na ho
Koi maherabaan na ho
Dil gham se jal rahaa hai jale, par dhuan na ho
Loota khushi ne, aag lagaa di bahaar ne
Loota khushi ne, aag lagaa di bahaar ne
Aag lagaa di bahaar ne
Barbaad is tarha bhi kisi kaa jahaan na ho
Kisi kaa jahaan na ho
Dil gham se jal rahaa hai jale, par dhuan na ho
Ab to wahin sukoon milegaa mujhe jahaan
Ab to wahin sukoon milegaa mujhe jahaan
Milegaa mujhe jahaan
Ye sang dil zameen na ho, aasmaan na ho
Aasmaan na ho
Dil gham se jal rahaa hai jale, par dhuan na ho...