Aaj achanak rooth ke mujhse, chale gaye bhagwan
Koyi meri madad karo rey, hai andhi tufan
Prabhu man mani kar sakte hain, ban sakte pashan
Kaise patthar banu kaho mein, mein durbal insan
Bolo hai jamin, bolo aasman
Koyi tho jawab do, kholo rey jaban
Kaunsi disha me gaye, mere bhagwan
Bolo hai jamin bolo aasman
Roko roko rasta dishao ki divaro
Band sare rahe karo gagan key dwaro
Prabhu key bago me pado chand sitaro
Janey nahi paye
Janey nahi paye
Janey nahi paye mere karuna nidhan
Bolo hai jamin bolo aasman
Kaisa nasib me din yeh dikhaya
Sab kuchh pake too kuchh naa paya
Mere jaise bhagyahin ko dega kaun dilasa
Pada rehgaya nadi kinare, me pyasa kaa pyasa
Kaisa hai kathor yeh vidhi kaa vidhan
Kaunsi disha me gaye mere bhagwan
Bolo hai jamin bolo aasman..