Iss desh ki hai aaj bhi
Toofan mein naiya
Bharat mein phir se aa
Jao balram kanaiya
Sab aur pada sukha
Adha hai desh bukha
Ghangor hai menngai
Janta hai tang aayi
Galiyo mein bade bade
Ajgar hai chipe pade
Daste hai aaj bhi naag hame
Ae naag na thaiya
Bharat mein phir se
Aa jao balram kanaiya
Mahalo mein hai diwali
Kutiyo mein raat kali
Kuch lo sukh jite baki aanshu pite
Ye desh ki surat
Hai ab aao jarurat hai
Lakho sudamao ki
Hai sunasan madaiya
Bharat me phir se aa
Jao balram kanaiya
Ye soch rahe hai sabhi
Aisa tha na waqt kabhi
Bache na dud pate
Maa baap jhatpatate
Hey din bandu aao
Karuna ke sindu aao
Kat ti lakho har sal
Yaha gopal teri gaiya
Bharat mein phir se aa
Jao balram kanaiya
Iss desh ki hai aaj
Bhi toofan me naiya
Bharat me phir se aa
Jao balram kanaiya..
Are Kar Lo Balma Pyar |
Bada Hai Banka Mera |
Bahut Dino Ke Bichde |
Bhavi Badi Prabal Hoti |
Is Desh Ki Hai Aaj |
Parvato He Parvato |