Humse koi ghustaki ho, bura na uska manana
Muh hai chhota bat badi hai, hanske tum na talana
Mai to hu bazari lekin aap hai ijat wale
Ayashike adhe khole, ghunha pe parde dale
Baktamizi pe, baktamizi pe hum aa gaye to
Tum sharifo ka phir kya hoga
Ho, baktamizi pe hum aa gaye to
Tum sharifo ka phir kya hoga
Hai shishe ke ghar tumhare, hai shishe ke ghar tumhare
Oo mara pathar to phir kya hoga
Baktamizi pe hum aa gaye to, tum sharifo ka phir kya hoga
Behaya humko tumne banaya, jisam bikata hai tumne sikhaya
Behaya humko tumne banaya, jisam bikata hai tumne sikhaya
Ye na socha hai garmi ya sardi, rashte par mujhe la bithaya
Jisne thukaraya usko jo maine, ho mari thokar to phir kya hoga
Baktamizi pe hum aa gaye to, tum sharifo ka phir kya hoga
Mai jo aayi na tumko dikhau, dag cheharo ke ginkar batau
Ha, mai jo aayi na tumko dikhau, dag cheharo ke ginkar batau
Koi do char das ho to bolu, ya taraju pakad ke mai tolu
Harkate inki puchho na humse, oo mara thapad to phir kya hoga
Baktamizi pe hum aa gaye to, tum sharifo ka phir kya hoga
Mai to badnaam galiyo ki rani, kya mahobat ki chhedu kahani
Ha, mai to badnaam galiyo ki rani, kya mahobat ki chhedu kahani
Maine chaha jise mit gaya wo, uski yade hai uski nishani
Ho gaya jinda ek din jo markar, mera dilbar to phir kya hoga
Baktamizi pe hum aa gaye to, tum sharifo ka phir kya hoga
Hai shishe ke ghar tumhare, arey, oo mara pathar to phir kya hoga
Baktamizi pe hum aa gaye to, tum sharifo ka phir kya hoga....
Badtameezee Pe Ham Aa Gaye To |
Chahe Solon Mein Jala Do |
Doli Leke Yahan |
Kalma Padhkar Roze Rakhkar |
Na Amar Na Akbar |
Parvar Digare Aalam |