La la la la la la la aah ha ha
La la la la la la la aah ha ha
Har ek muskurahat muskan nahi hoti
Nafrat ho ya mohabbat aasan nahi hoti
Aansu khushi ke gham ke hote hai ek jaise
Aansu khushi ke gham ke hote hai ek jaise
In aansuo ki koi pehchan nahi hoti
Han har ek muskurahat muskan nahi hoti
Nafrat ho ya mohabbat aasan nahi hoti
Har bat hai wahi par matlab badal gaye hai
Dil dagmaga gaya tha par ham sambhal gaye hai
Aise bhi aate hai din jite hai log lekin
Aise bhi aate hai din jite hai log lekin
Hota hai aur sab kuch par jan nahi hoti
Han har ek muskurahat muskan nahi hoti
Nafrat ho ya mohabbat aasan nahi hoti
La la la la la la la aah ha ha
La la la la la la la aah ha ha
Hote hai is jahan mein chehre bhi ek jaise
Ghunghat bhi ek jaise sehre bhi ek jaise
Sab janti hai nazrein pehchanti hai nazrein
Sab janti hai nazrein pehchanti hai nazrein
Apni parayi surat anjan nahi hoti
Ha har ek muskurahat muskan nahi hoti
Nafrat ho ya mohabbat aasan nahi hoti
Kya cheez hai yeh dil bhi ho jaye jab akela
Rehta hai sath iske yadon ka ek mela
Duniya bhi chhut jaye har aas tut jaye
Duniya bhi chhut jaye har aas tut jaye
Mehfil kabhi yeh dil ki viran nahi hoti
Aansu khushi ke gham ke hote hai ek jaise
Aansu khushi ke gham ke hote hai ek jaise
In aansuo ki koi pehchan nahi hoti
Han har ek muskurahat muskan nahi hoti
Nafrat ho ya mohabbat aasan nahi hoti..
Aankhon Mein Tum Ho |
Har Ek Muskurahat |
Hum Kahe Na Kahe |
Maine Saawan Se Kaha |
Sab Kehte Hain |