Kaisi Haseen Aaj from Aadmi Movie (Naushad Ali)

Kaisi haseen aaj bahaaro ki raat hai
Ek chaand aasmaan pe hai, ek mere saath hai
O dene waale tune to koyi kamee na kee
Abb kisko kya mila, yeh muqaddar ki baat hai

Chhaaya hai husno ishq pe ek range bekhudi
Chhaaya hai husno ishq pe ek range bekhudi
Aate hai jindagi mein yeh aalam kabhi kabhi
Har ghum ko bhul jaao, khushi ki baaraat hai
Ek chaand aasmaan pe hai, ek mere saath hai

Aayi hai woh bahaar ke nagame ubal pade
Aisi khushi mili hai ke aansoo nikal pade
Honto pe hai duwaaye, magar dil pe haath hai
Abb kisko kya mila, yeh muqaddar ki baat hai

Masti simat ke pyaar ke gulshan mein aa gayi
Masti simat ke pyaar ke gulshan mein aa gayi
Meri khushi bhi aapke daaman mein aa gayi
Bhavra kali se dur nahi, saath saath hai
Abb kisko kya mila, yeh muqaddar ki baat hai
Kaisi haseen aaj bahaaro ki raat hai
Ek chaand aasmaan pe hai, ek mere saath hai..

Song Details
Movie
Aadmi
Artist
Naushad Ali
Music Directory
Naushad Ali
Music Label
Saregama
Singers
Mohammed Rafi, Talat Mahmood
Lyricist
Shakeel Badayuni

Other Lyrics from Aadmi

Aaj Purani Raaho Se
Kaari Badariyaa Maare
Kaisi Haseen Aaj
Kal Ke Sapane Aaj Bhee Aana
Main Tuti Hui Ek Naiya Hu
Na Aadami Ka Koyi Bharosa

Other popular Lyrics by Naushad Ali

Takra Gaya Tumse Dil Hee To Hai (Aan)
Bhole Bhaale Se (Aawaz De Kahan Hai)
Aayi Re Holi Aayi (Aawaz De Kahan Hai)
Suhani Raat Dhal Chuki (Dulari)
Tujhe Kho Diya Hamne (Aan)
Kaho To Aaj Bol Du (Aaina)
Maan Mera Ehsan (Aan)
Dil Mein Chhupake Pyar Ka (Aan)
Ab Kaun Hai Meraa (Anmol Ghadi)
Aaja Meri Barbaad Muhabbat (Anmol Ghadi)