Hum Ko GaLi Main dekh kr Khud Ko Chupa Lia Jane ye DUSHMANO ne use kya sikha diya ghar us ne kYA banaya MASJID k samne CHAHAT ne us ki hum ko NAMAZI bana diya
Kisi k dil me basna bura to nahi... kisi ko dil me basana khata to nahi.. gunah hoga Duniya ki nazar me to kya hua.. Kambakht Duniya wale khuda to nahi..,
Ab mujhe zindagi se pyar nahi hai, maut pe hai, zindagi pe aitbar nahi hai. rok le jo unki yadon ko dil me aane se, itni unchi mere dil ki deewar nahi hai..
Tute dil ki hasrato ka dil me basera rahega, Aankh meri jo royegi to dard tera rahega, kuch is tarah samaya hai rag rag me tera pyar, Aakhri saans rehne tak labon pe tera naam rahega.