Kya zamana tha hum roz mila karte the Raat bhar chand ke hamrah chala karte the Dekh ke jo hame chup chap guzar jata hai Kabhi is saksh se hum pyar kiya karte the.
Dil ki kitab ka panna chura le gaya koi...., Dhadkan dil ki chura legaya koi..., Hum to raja the dil k..., Ek nazrana de k gulam hame bana gaya koi...!
Talaash karoge toh koi mil hi jayega,magar hamari tarah rishta kaun nibhayega,mana ki kam nehi hain ashiq apke,magar kya humari jagah kisi aur ko de payoge
Benam sa yeh dard thahar kyun nahi jata,Jo dur hai dil se utar kyun nahi jata,Ek chehra jo barso se hai ajnabi,woh khwab hai toh phir bikhar kyun nahi jata.
Tumse Bicharne Ka Gum Hum Seh Nahi Sakte Bhari Mehfil Mei Hum Kuch Keh Nahi Sakte Hamare Girte Anson Ko Pakar Kr To Dekho Wo B Kehte Hain Hum Ap K Bina Reh Nahin Sakte