Ankho mein raha dil me utar kar nahi dekha Kasti ke musafir ne kabhi samandar nahi dekha Bewaqt agar jaunga sab chauk padenge Muddat hui din me kabhi ghar nahi dekha
Teri Aarzoo Me Deewane Ho Gaye, Tujhe Apna Banate Banate Begane Ho Gaye, Kar Le Ek Baar Yaad Apne "DIL" Se, Tere "DIL" ki Aawaaz SuN ne Ko BARBAAD ho Gaye.
JANE KYA MUJHSE ZAMANA CHAHTA HAI, MERA DIL TODKAR MUJHE HASANA CHAHTA HAI, JANE KYA BAAT JHALAKTI HAI MERE CHEHRESE, HAR SHAKHS MUJHE AAZMANA CHAHTA HAI
DAR DAR BHATAKTE FIRTE HAIN ARMAN KI TARAH HAR KOI MILTA HAI ANJAAN KI TARAH, IS DUNIYA SE KHUSI KI AAS KYA RAKHNI, YE TO GAM BHI DETI HAI EHSAAN KI TARAH.
rone de aaj hamko tu aankhe sujane de, baho me lele aur khud ko bhig jane de, he jo sine me kaid dariya woh chuth jayega, he itna dard ke tera daman bheeg jayega.
Bagair Jane Pahechane Ikrar Na Kijiye, Muskura Kar Diloko Bekrar Na Kijiye, Phool Bhi De Jate Hai Zakham Gahere Kabhi Kabhi, Har Phul Par Yu Aaitbar Na Kijiye.
Na roke aaj humey koi, dard mein doob jaane de jitney bhi ansoo kaid hain, aaj unko bahaane de suna hai humney, pani ki dhaar se patthar bhi kat jate hain dekhenge, haal pe mere kya sang dil bhi pighal jatey hain…