Mukadar Se Lad Saku Ye Meri Aukaat Nahi. Me wo Sakhsh hu Khuda Jiske Sath Nahi. Waqt ayega To Kah Dunga Khuda Se Ki. Mera Mukadar Likhna Tere Bus Ki Baat Nahi.
Tu Naam Ka Darya Hai Rawani Nahi Rakhta,Badal Hai Wo Khokhla Jo Pani Nahi Rakhta,Ye Akhri Tasvir Akhri Khat Bhi Le Ja,Mai Bhul jane walo ki nishani nahi rakhta
Gam ke saye mein guzara hai jeevan humne, Apni palko ko aansuo se sajaya hai humne, Apni chahat ko kabhi pa na sake hum, Khud rokar dusro ko hasaya hai humne.
hum rah main khadi imarat ko manjil samajh behte chamkne wale patthar ko sona samajh bethe woh to is dil ke rishtey ko samajh hi na saka or hum use khuda samajh behte
Kitabon mai rakh k sula gaya ham ko Ankh band ki aur bhula gaya ham ko Koi ajeeb musavar tha jo barishon k mosam main Kachi deewaron pe bana gaya ham ko.
dil jeet le wo jigar hum bhi rakhte hai qatl kar de wo nazar hum bhi rakhte hai wada kiya hai kisi se sada muskuraane ka warna in aankhon me samandr hum bhi rakhte hai