Meri Dharkan Se Dil Ka Dharkna Mangoge Ek Din Tum Mujhse Mera Pyaar Udhar Mangoge Main Voh Phool Hoon Jo Tere Chaman Se Na Niklega Apni Veeran Zindagi Ke Liye Bahar Mangoge
Jab laGe zakhm to Qaatil ko dua di JaYe... Hai Yehi rasm to Yeh rasm uthaa di JaYe... Hum se Poocho shayari kya hai, Shayari ka fun kya hai... Chaar lafzon men koi aah chuPa di JaYe...
Apni tasveer ko aankhon se lagata kya hai,Ek nazar dekh, tera jata kya hai,Meri rushvai mein tu hai barabar ka sharik,Mere qisse aaron ko sunataa kya hain.
Juba khamosh oR ankho me nami hogi, yahi bas ek dastan e jindagi hogi, bharne ko to har zakhm bhar jaega, kaise bharegi wo jagah, jaha TERI kami hogi..!