Aray peeli chotiyaan, hawaeyn sehen si
Maahtaab nazrain teri, ya khuda ab kya karain
Aankhain meri khargoshi
Honton mein hai madhoshi
Chaand ki choorri meri hai
Maarungi main dum choti
Ro doongi jhooti mooti
Baadal yeh mere peeche hai
Sun jharne, tu seedhe kiyun girey hai
Tu aaj chal, tu mere jesa ulta chal
Chal halke halke urrti tu, itni kya jaldi hai
Sab ko yeh hawa batlaati thi, tu ghar se nikalti hai
Main raaton se jhagar loongi
Uchal ke chaand ko pakar loongi
Main gir gir ke sambhal loongi
Main saat rangon ko badal doongi
Cheezain meri tu kiyun ghar se nikalta hai paagal
Chal halke halke urrti tu, itni kya jaldi hai
Sab ko yeh hawa batlaati thi, tu ghar se nikalti hai
Main titlee ki saheli hoon
Main zulfon mein lipti paheli hoon
Baraf ki taraf hai ghar mera
Orh le dhoop woh peeli hoon
Sooraj mere chaaon le kar kiyun doobta hai paagal
Chal halke halke urrti tu, itni kya jaldi hai
Sab ko yeh hawa batlaati thi, tu ghar se nikalti hai
Aankhain meri khargoshi
Honton mein hai madhoshi
Chaand ki choorri meri hai
Maarungi main dum choti
Ro doongi jhooti mooti
Baadal yeh mere peeche hai
Sun jharne, tu seedhe kiyun girey hai
Tu aaj chal, tu mere jesa ulta chal
Chal halke halke urrti tu, itni kya jaldi hai
Sab ko yeh hawa batlaati thi, tu ghar se nikalti hai..
Song Details
- Movie
- A Flat
- Artist
- Bappi Lahiri
- Music Directory
- Bappa Lahiri
- Music Label
- T-Series
- Singers
- Bappa Lahiri, Raja Hasan, Sunidhi Chauhan
- Lyricist
- Virag Mishra