Bachche Ki Jaan By Various Artists

Kaisi ye halchal
Kaisa bhoochaal hai
Saansein phooli hain aur
Yeh dil behaal hai

Dhadkan ruk jaaye na yeh
Darr lagta hai mujhe
Phansta hi jaata hoon
Yeh aisa jaal hai

Aankhon pe patti bandh ke
Mere sar pe nishana loge kya

Bachche ki jaan loge kya
Ow bache ki jaan loge kya
O o ow bache ki jaan loge kya
Bache ki jaan loge kya

Udta hi jaa rahaa ye
Chehre ka rang hai
Badhti betaabiyan aur
Maamla tang hai

Bachna mumkin nahi sab
Koshish bekaar hai

Aisa kyun lag raha hai
Jaise koi jung hai
Pairon se chhin lee zameen
Ab uspe lagaan loge kya

Bachche ki jaan loge kya
Ow bachche ki jaan loge kya
O o ow bachche ki jaan loge kya
Bachche ki jaan loge kya

Dil ki banzar zameen pe phool kaise khile
Sehra mein baarishon ki boond kaise mile

Ehsaason ki kabhi nahi hoti hai umar
Iss baat se bhi tum bhala kyun ho bekhabar
Haan main nadaan hoon na mujhko kuch khabar
Phir mujhpe manmaani karte ho kyu magar
Mujhpe talwar taan ke mera imtehaan loge kya

Bachche ki jaan loge kya
Ow o o bachche ki jaan loge kya
Aye ee ee bachche ki jaan loge kya
Bachche ki jaan loge kya

La la la…

Yaadon ki titliyan jo itni sambhali hai
Yeh jo ud jaaye toh dil poora khaali hai
Naye pal ko khul ke aaj tu jee le toh zara
Kabhi yun bewajah bhi tu khulke muskura haa

Sookha sookha sa hoon
Na hoon shauqeen main
Thoda sa sangeen bhi hoon
Na hoon rangeen main
Meri neendein uda ke
Khud chain ki saansein loge kya

Bachche ki jaan loge kya
O o bachche ki jaan loge kya
Oooh bachche ki jaan loge kya
Bachche ki jaan loge kya

Loge kya?

Song Details
Movie
102 Not Out
Artist
Various Artists
Music Directory
Salim Merchant, Sulaiman Merchant
Music Label
Saregama Music
Singers
Arijit Singh
Lyricist
Hiral Brahmbhatt

more lyrics from 102 Not Out

Bachche Ki Jaan
Badumbaaa
Kulfi
Waqt Ne Kiya