Woh Jahaan By Various Artists

Neela aakash jo ik samandar hai
Usme kahin koi aisa sitara bhi hai
Jisme dusri ik duniya ho basi
Jisme jagti ho zindagi
Par humse alag humse judaa
Ik nishaan bhi na ho dard ka
Jeena jahan ho nahi mushkil

Koi rota na ho chain khota na ho
Na kabhi toote kisi ka dil

Woh jahaan
Koi dukh na ho na ho koi gham
Woh jahaan
Palkein na ho namm
Dilo mein
Hona deeware na dooriya
Woh jahaan
Poore ho armaan

Sab ko ho yeh pata
Sabke dilo me ek gehri dhara bhi hai
Neele aakash me koi aisa sitara bhi hai

Neele aakash ke iss samandar ka
Chand ki kashti mein
Maine kiya hai safar
Dhoondhti ho agar
Tum jo duniya haseen
Woh duniya hai yahin
Woh yahin hai kahin

Haan magar uske chehre par
Nafrat ki zulm ki
Ik dhul hai jamm gayi

Haan magar uske tann pe lipti
Lalach ki hai zanzeer toh
Ho duniya te aate tham gayi

Uske chehre se yeh dhool hatt jaye to
Uske tann se ye zanzeer katt jaye to
Dekhna phir yahan
Iss zameen par hi hogi woh duniya

Woh jahan
Koi dukh na ho na ho koi gham
Woh jahan
Palkein na ho namm
Dilo me
Hona deeware na dooriya
Woh jahan
Pure ho armaan

Muskurati ho chehre par ek roshni
Zindagi ho mohabbat bhari zindagi...

Song Details
Movie
Rock On!! 2
Artist
Various Artists
Music Directory
Darshan Doshi, Sheldon D’Silva, Soumik Dutta
Music Label
Zee Music Company
Singers
Farhan Akhtar, Shraddha Kapoor
Lyricist
Javed Akhtar

more lyrics from Rock On!! 2

Jaago
Rock On Revisited
Woh Jahaan
Ishq Mastana
Manzar Naya
Tere Mere Dil
Udd Jaa Re
You Know What I Mean