Tum bhool ke fande mein haseenon ke na aana

Dil na lagana meri jaan dil na lagana
Meri jaan dil na lagana
In mast nazar waalon se aankhen na ladaana

Aankhen na ladaanaa
Dil na lagana meri jaan dil na lagana
Meri jaan dil na lagana
Waadon ka bharosha nahin maashooq hain jhoothhe

Baaten hain bahut bholi magar dil ke hain khote

Kudrat ne sikhaaya hai inhein dil ka churaana
Kudrat ne sikhaaya hai inhein dil ka churaana
Dil na lagana meri jaan dil na lagana
Meri jaan dil na lagana
Firte hain jo baazaaron mein ye surkhiyaan daalen

Zulfon ka faqat dhokhaa hai do naag hain paale

Dans jaayengi dekho kabhi nazdeek na jaana
Dans jaayengi dekho kabhi nazdeek na jaana
Dil na lagana meri jaan dil na lagana
Meri jaan dil na lagana
Tum bhool ke fande mein haseenon ke na aana
Tum bhool ke fande mein haseenon ke na aana
Dil na lagana meri jaan dil na lagana
Meri jaan dil na lagana...
Song Details
- Movie
- Lal Haveli
- Artist
- Mir Saheb
- Music Directory
- Mir Saheb
- Music Label
- Saregama
- Singers
- Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra)
- Lyricist
- Shams Lakhnavi