Nanhi si jaan me hai jawani ka sitam kyun
Rag rag me nasha aur nashe me hai dard kyun
Ye is liye ke zindagi me pyar kiya jaaye
Ye is liye ke zindagi me pyar kiya jaaye
Do char din yeh pyar se guzaar diya jaye
Do char din yeh pyar se guzaar diya jaye
Haan do dil jab ek hote hai
Tab do bane hai kyun
Milane ki tamanna hai magar
Milate nahi hai kyun
Ye is liye ke dil pe dil nisaar kiya jaye
Ye is liye ke dil pe dil nisaar kiya jaye
Do char din yeh pyar se guzaar diya jaye
Do char din yeh pyar se guzaar diya jaye
Haan aankho se aankh mil gai
Phir bhi na chain kyun
Haan pahachan ho gai
Magar bebasi hai kyun
Ye is liye ke ishq ka izahaar kiya jaye
Ye is liye ke ishq ka izahaar kiya jaye
Do char din yeh pyar se guzaar diya jaye
Do char din yeh pyar se guzaar diya jaye
Haan in mast nigaaho me
Pareshaniyan hai kyun
Betaab do dilo me yun
Jawaniyan hai kyun
Ye is liye ke ab naa itazaar kiya jaye
Ye is liye ke ab naa itazaar kiya jaye
Do char din yeh pyar se guzaar diya jaye
Do char din yeh pyar se guzaar diya jaye...
Song Details
- Movie
- Nadiya Ke Par
- Artist
- Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra)
- Music Directory
- Ramchandra Narhar Chitalkar (C. Ramchandra)
- Music Label
- Saregama
- Singers
- Mohammed Rafi, Shamshad Begum
- Lyricist
- Moti B. A.