Chhota sa ghar hoga baadlo ki chhanv me
Asha divani mann me bansuri bajaye
Hum hi hum chamkenge taro ke us gaon me
Aankhon ki roshni hardam ye samjhaye
Chandi ki kursi pe baithe meri chhoti bahna
Chandi ki kursi pe baithe meri chhoti bahna
Sone ke sinhasan pe baithe meri pyari maa
Mera kya main pada rahunga ammi ji ke paanv me
Mera kya main pada rahunga ammi ji ke paanv me
Aa ayi re
Aa ayi re
Aa ayi re
Aa ayi re,
Chhota sa ghar hoga baadlo ki chhanv me
Asha divani mann me bansuri bajaye
Meri chhoti bahna najo ki pali shahjadi
Meri chhoti bahna najo ki pali shahjadi
Jitni bhi jaldi ho, mai kar dunga isaki shadi
Achchha hai yeh bala hamari jaye duje gaon me
Achchha hai yeh bala hamari jaye duje gaon me
Aa ayi re
Aa ayi re
Aa ayi re
Aa ayi re,
Chhota sa ghar hoga baadlo ki chhanv me
Asha divani mann me bansuri bajaye
Kahegi maa dulhan la beta ghar suna suna hai
Kahegi maa dulhan la beta ghar suna suna hai
Mann me jhum kahunga main, maa, itni jaldi kya hai
Gali gali me tere rajdulare ki charcha hai
Gali gali me tere rajdulare ki charcha hai
Aakhir koyi toh aaega in naino ke daanv me
Aakhir koyi toh aaega in naino ke daanv me
Aa ayi re
Aa ayi re
Aa ayi re
Aa ayi re,
Chhota sa ghar hoga baadlo ki chhanv me
Asha divani mann me bansuri bajaye
Hum hi hum chamkenge taro ke us gaon me
Aankhon ki roshni hardam ye samjhaye...
Song Details
- Movie
- Naukri
- Artist
- Salil Chowdhury
- Music Directory
- Salil Chowdhury
- Music Label
- Shemaroo
- Singers
- Kishore Kumar, Usha Mangeshkar
- Lyricist
- Shailendra (Shankardas Kesarilal)