Taaro Ki Nagri Se By Anil Krishna Biswas

Taro ki nagri se
Chanda ne ek din
Dharti pe aane ki thani
Sun mere munna kahani
Kaliyo ne pahne
Sabnam ke gahne
Lahro me aayi rawani
Sun mere munna kahani

Kab se khadi thi vyakul chakori
Naina bichaye hue path me
Dharti pe utra raja gagan ka
Chupke se kirno ke rath me
Aaye piya pyare pyasi ke dware
Aaye piya pyare pyasi ke dware
Fir bhi chakori na jane
Sun mere munna kahani

Kahti thi dunia
Kahti thi dunia
Ho na sakega
Chanda chakori ka mel
Pal bhar me dekho ruthi bindiya
Tutega sapno ka gher
Tutega sapno ka gher
Itne me chanda
Badhkar yu bola
Itne me chanda
Badhkar yu bola
Mai raja tu meri rani
Sun mere munna kahani

Lekin ye dunia
Lekin ye dunia
Prem ki berain
Aayi laga ke najariya
Aayi laga ke najariya
Aayi the ek din
Waise hi ek din
Sajni se bichade sawariya
Sajni se bichade sawariya
Ab tak khadi hai
Path par chakori
Ab tak khadi hai
Path par chakori
Lekar piya ki nishani
Jab tak na wapis
Aayega chanda
Jab tak na wapis
Aayega chanda
Puri na hogi kahani
Soja teri maa hogi kahani
Soja teri maa hogi kahani...

Song Details
Movie
Waris
Artist
Anil Krishna Biswas
Music Directory
Anil Krishna Biswas
Music Label
Saregama
Singers
Suraiya Jamaal Sheikh (Suraiya)
Lyricist
Qamar Jalalabadi

more lyrics from Waris

Dunia Ko Nahi Manzur
Dur Hote Nahi Wo
Gazab Kiya Tere Wade Pe
Ghar Tera Apna Ghar
Kabhi Hai Gham
Rahi Matwale
Taaro Ki Nagri Se