Kahiyo Roye Dukhiya Re By Pandit Amarnath

Kahiyo roye dukhiya re
Ja re pachhi tu ja re
Kaaga des hamaare ud ja re
Kahiyo roye dukhiya re
Ja re pachhi tu ja re
Kaaga des hamaare ud ja re
Kahiyo roye dukhiya re

Ek na kahiyo maan raani se
Roegi wo meri gudiyo ko dekhe
Roegi wo meri gudiyo ko dekhe
Ek na kahiyo baabul ji se
Ek na kahiyo baabul ji se
Roenge pagadi ko munh se lapete
Aur sab se kahiyo tu pyaare
Ja re pachhi tu ja re
Kaaga des hamaare ud ja re
Kahiyo roye dukhiya re

Ek na kahiyo bahena meri se
Haatho ki roti gira degi ro ke
Haatho ki roti gira degi ro ke
Ek na kahiyo bhaabhi meri se
Maike mein ja ke hansegi wo mope
Maike mein ja ke hansegi wo mope
Aur sab se kahiyo tu pyaare

Kahiyo re dukh mera bhaiya se ja ke
Kahiyo re dukh mera bhaiya se ja ke
Aayega wo nila ghoda udaake
Utarega mere dwaare
Ja re pachhi tu jaa re
Kaaga des hamaare ud ja re
Kahiyo roye dukhiya re...

Song Details
Movie
Garam Coat
Artist
Pandit Amarnath
Music Directory
Pandit Amarnath
Music Label
Saregama
Singers
Lata Mangeshkar
Lyricist
Majrooh Sultanpuri

more lyrics from Garam Coat

Dole Mori Aanganiya
Ghar Aaja More Raaja
Ghunghat Mein Jal Gai Gori
Jogiya Se Preet Kiye
Kahiyo Roye Dukhiya Re