Dusri or bapu ne yudh ka naya yantar diya hai
Angrejo ko dharashahi karne ki khatir
Satya or ahinsa ka adhbut mantar diya hai
Dusmano ke jism par karna nahi hame parhar
Achuk nishana sadh karenge sidhe unke dil par war
Satyagrah ke age unko natmastak hona hi hoga
Chodkar bharat jayenge wo hoge bebas lachar
Vaishnav jan toh tene kahiye, jo peed parai jaan re
Dukh duje ka har kar bhi abhiman na man me ane re
Vaishnav jan toh tene kahiye, jo peed parai jaan re
Dukh duje ka har kar bhi abhiman na man me ane re
Jan manas ki jo kare badai, na kare kabhi burai re
Vachan karm mann pawan jinke, dhanay unki mai re
Vaishnav jan toh tene kahiye, jo peed parai jaan re
Lobh tyag sab ko sam dekhi
Lobh tyag sab ko sam dekhi
Par naari ko maa maa ni re
Jeewha kate par jhuth na bole, par dhan ko mitti jane re
Vaishnav jan toh tene kahiye, jo peed parai jaan re
Mahamaya se pare rahe jo , varagya ho jinke man me re
Ram naam ke madd me pagal har tirth basao man me re
Lobh se dur ho jinke
Lobh se dur ho, kapat rahit jinke
Kam krodh na vyape deen
Kabi narashi darsan abhilashi
Jo pal me moksh dilawe re
Vaishnav jan toh tene kahiye, jo peed parai jaan re
Peed parai jaane re.
Song Details
- Movie
- Gandhi To Hitler
- Artist
- Sanjoy Chowdhury
- Music Directory
- Sanjoy Chowdhury
- Music Label
- Saregama
- Singers
- Bhupen Hazarika
- Lyricist
- Pallavi Mishra