Pyaas kuchh aur bhi bhadka di jhalak dikhla ke
Tujhko parda rukh e raushan se hatana hoga
Itni gustaakh na ho ishq ki awaara nazar
Husn ka paak nigaahon ko sikhana hoga
Tujhko parda rukh e raushan se hatana hoga
Husn ka paak nigaahon ko sikhana hoga
Chaand taaron ko mayyassar hai nazaara tera
Meri betaab nigaahon se ye parda kyun hai
Chaand aaina mera taare mera naqsh e qadam
Gair ko aankh milaane ki tamanna kyun hai
Tujhko parda rukh e raushan se hataana hoga
Husn ka paak nigaahon ko sikhana hoga
Tujhko dekha tujhe chaha tujhe pooja main ne
Bas yehi is ke siwaa meri khata kya hogi
Main ne achha kiya ghabra ke jo munh pher liya
Is se kam dil ke tadapne ki saza kya hogi
Tujhko parda rukh e raushan se hatana hoga
Husn ka paak nigaahon ko sikhaana hoga
Pyaas kuchh aur bhi bhadka di jhalak dikhla ke
Tujhko parda rukh e raushan se hataana hoga
Itni gustaakh na ho ishq ki awaara nazar
Husn ka paak nigaahon ko sikhana hoga...
Song Details
- Movie
- Lalarukh
- Artist
- Mohammed Zahur Khayyam
- Music Directory
- Mohammed Zahur Khayyam
- Music Label
- Saregama
- Singers
- Asha Bhosle, Talat Mahmood
- Lyricist
- Kaifi Azmi