Phir Na Kije By Mohammed Zahur Khayyam

Phir na kije meri gustakh nigahi ka gila
Dekhiye aap ne phir pyar se dekha mujhko

Main kaha tak na nigaho ko palatne deti
Aap ke dil ne kai baar pukara mujhko

Is kadar pyar se dekho na hamari janib
Dil agar aur machal jaye to mushkil hogi

Tum jaha meri taraf dekh ke ruk jaaoge
Wohi manjil meri taqadir ki manjil hogi

Dekhiye aap ne phir pyar se dekha mujhko
Aap ke dil ne kai baar pukara mujhko

Ek yunhi si nazar dil ko jo chhu leti hai
Kitne armaan jagati hai tumhe kya maalum

Ruh bechain hai kadmo se lipatne ke liye
Tumko har saans bulati hai tumhe kya maalum

Dekhiye aap ne phir pyar se dekha mujhko
Aap ke dil ne kai baar pukara mujhko

Har nazar aap ki jazbaat ko uksati hai
Main agar hath pakad lu to khafa mat hona

Meri duniya e mohabbat hai tumhare dam se
Meri duniya e mohabbat se juda mat hona

Dekhiye aap ne phir pyar se dekha mujhko
Aap ke dil ne kai baar pukara mujhko

Dekhiye aap ne phir pyar se dekha mujhko
Aap ke dil ne kai baar pukara mujhko...

Song Details
Movie
Phir Subah Hogi
Artist
Mohammed Zahur Khayyam
Music Directory
Mohammed Zahur Khayyam
Music Label
Saregama
Singers
Asha Bhosle, Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Lyricist
Sahir Ludhianvi

more lyrics from Phir Subah Hogi

Aasman Pe Hai Khuda
Chin O Arab Hamara
Do Boondein Saawan Ki
Jis Pyar Mein Yeh
Phir Na Kije
Woh Subah Kabhi