Mujhe Tumse Kuchh Bhi Na Chahiye By Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi

Mujhe tumse kuchh bhi na chahiye
Mujhe mere haal pe chhod do
Mujhe mere haal pe chhod do
Mera dil agar koi dil nahi
Use mere samane tod do
Use mere samane tod do
Mujhe tumse kuchh bhi na chahiye

Main ye bhul jaunga jindagi
Kabhi muskurayi thi pyar me
Main ye bhul jaunga jindagi
Kabhi muskurayi thi pyar me
Main ye bhul jaunga mera dil
Kabhi khil utha tha bahar me
Jinhe is jahan ne bhula diya
Mera naam unn mein hi jod do
Mera naam unn mein hi jod do
Mujhe tumse kuchh bhi na chahiye
Mujhe mere haal pe chhod do
Mujhe mere haal pe chhod do
Mujhe tumse kuch bhi na chahiye

Tumhe apna kahne ki chah me
Kabhi ho sake na kisi ke ham
Tumhe apna kahne ki chah me
Kabhi ho sake na kisi ke ham
Yahi dard mere jigar me hai
Mujhe maar dalega bas ye gham

Main wo gul hu jo na khila kabhi
Mujhe kyun na sakh se tod do
Mujhe kyun na sakh se tod do
Mujhe tumse kuchh bhi na chahiye
Mujhe mere haal pe chhod do
Mujhe mere haal pe chhod do
Mujhe tumse kuchh bhi na chahiye...

Song Details
Movie
Kanhaiya
Artist
Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
Music Directory
Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
Music Label
Saregama
Singers
Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Lyricist
Shailendra (Shankardas Kesarilal)

more lyrics from Kanhaiya

Kahan Hai Kahan Hai Kanhaiya
Mere Saanware Salone Piya
Mujhe Tumse Kuchh Bhi Na Chahiye
Ni Baliye Rut Hai Bahaar Ki
O Kanhaiya O Kanhaiya
Ruk Ja O Janewali Ruk Ja
Sawan Aawan Keh Gaye
Yaad Aayi Aadhi Raat Ko