Ab Kahan Jayen Hum By Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi

Ab kahaan jaayen hum
Ye bataa aye zameen
Is jahaan mein to koi hamaara nahin
Is jahaan mein to koi hamaara nahin

Apne saaye se bhi log darne lagey
Ab kisiko kisi par bharosa nahin
Ab kisiko kisi par bharosa nahin
Ab kahaan jaayen hum
Hmm hmm hmm
Hmm hmm hmm
Aa aa aa aa aa

Hum ghar ghar jaate hain ye dil dikhlaate hain
Par ye duniyaawaale hum ko thukraate hain
Hum ghar ghar jaate hain ye dil dikhlaate hain
Par ye duniyaawaale hum ko thukraate hain
Raaste mit gaye manzilein kho gayeen
Ab kisi ko kisi par bharosa nahin
Ab kahaan jaayen hum
Aaa aaa aaa

Nafrat hai nigaahon mein vehshat hai nigaahon mein
Ye kaisa zeher phaila duniya ki hawaaon mein
Nafrat hai nigaahon mein vehshat hai nigaahon mein
Ye kaisa zeher phaila duniya ki hawaaon mein
Pyaar ki bastiyaan khaaq honey lageen
Ab kisi ko kisi par bharosa nahin
Ab kahaan jaayen hum
Hmm hmm hmm
Hmm hmm hmm
Aaa aa aa
Aa aa aa

Har saans hai mushqil ki
Har jaan hai ek moti
Baazaar mein par inki ginati hi nahin hoti
Har saans hai mushqil ki
Har jaan hai ek moti
Baazaar mein par inki ginati hi nahin hoti
Zindagi ki yahaan koi keemat nahin
Ab kisi ko kisi par bharosa nahin
Ab kisi ko kisi par bharosa nahin

Ab kahaan jaayen hum
Ye bataa aye zameen
Is jahaan mein to koi hamaara nahin
Ab kahaan jaayen hum...

Song Details
Movie
Ujala
Artist
Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
Music Directory
Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
Music Label
Saregama
Singers
Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)
Lyricist
Shailendra (Shankardas Kesarilal)

more lyrics from Ujala

Ab Kahan Jayen Hum
Duniyawaalo Se
Ho Mora Nadaan Balma
Jhumata Mausam Mast Mahina
Suraj Jara Aa Paas Aa
Tera Jalwa Jisne Dekha
Yaaro Surat Hamaaree