Batao kya karungi mai
Jab gham ki raat aayegi
Batao kya karungi mai
Jab gham ki raat aayegi
Jo gum ki raat aayegi
Mai chand banke aaunga
Tamam rat khwab me
Tumhare jagmagaunga
Dikha sakoge khwab kya
Jo nind hi na aayegi
Dikha sakoge khwab kya
Jo nind hi na aayegi
Na aaye nind gum nahi
Mai nind ban ke aaunga
Or aake in gulabi
Ankhundiyo ko chum jaunga
Jo nind tut jayegi
Jo subah ji jalayegi
Jo nind tut jayegi
Jo subah ji jalayegi
Mai chori chori subah ki
Hawa ke sath aauga
Or in ghani ghani lato
Me phul gund jaunga
Jo subah bit jayegi
Jo dhup tan jalayegi
Jo subah bit jayegi
Jo dhup tan jalayegi
Jo dhup tan jalayegi
Ghataye leke aaunga
Bhigounga tujhe bhi or
Khud bhi bhig jaunga
Bas intzar me yuhi
Ye umar beet jayegi
Bas intzar me yuhi
Ye umar beet jayegi
Ye intzar ki ghadi
Kategi baat baat me
Magar ye sart hai
Yuhi rahe ye hath hath me
Rahe ye hath hath me
Rahe ye hath hathe me...
Song Details
- Movie
- Ek Ke Baad Ek
- Artist
- Sachin Dev Burman
- Music Directory
- Sachin Dev Burman
- Music Label
- Saregama
- Singers
- Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt), Mohammed Rafi
- Lyricist
- Kaifi Azmi