Dil Todne Wale By Naushad Ali

Dil todne vale, tujhe dil dhundh raha hai
Tujhe dil dhundh raha hai
Aavaz de tu kon si nagari me chhupa hai
Dil todne vale

Tu hum ko jo mil jaye to hal apna sunaye
Khud roye kabhi aur kabhi tujhko rulaye
Kabhi tujhko rulaye
Wo dag dikhaye jo hame tune diya hai

Aiye dil ke sahare tujhe dil dhundh raha hai
Tujhe dil dhundh raha hai
Sine me teri yaad ka tufan utha hai
Aiye dil ke sahare

Dil me to ye hasrat hai tere pas mai aau
Nazaro se gira hu to nazar kaise milau
Nazar kaise milau
Badnam hu, nakam hu, kya mujh me raha hai
Aiye dil ke sahare, tujhe dil dhundh raha hai
Tujhe dil dhundh raha hai

Dikhla ke kinara mujhe mallah ne luta
Kashti bhi gayi hath se, patvar bhi chhuta
Patvar bhi chhuta
Ab aur na jane meri taqadir me kya hai
Dil todne vale, tujhe dil dhundh raha hai
Tujhe dil dhundh raha hai

Bechain udhar tu hai, to majbur idhar hum
Baithe hai chhupaye huye, ashqo me tera gam
Ashqo me tera gam
Har chot ubhar aayi hai, har zakhm hara hai
Dil todne vale, tujhe dil dhundh raha hai
Tujhe dil dhundh raha hai...

Song Details
Movie
Son of India
Artist
Naushad Ali
Music Directory
Naushad Ali
Music Label
Saregama
Singers
Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi
Lyricist
Shakeel Badayuni

more lyrics from Son of India

Aaj Chhedo Mohabbat
Aaj Ki Taaza Khabar
Chal Diye De Ke
Dil Todne Wale
Insaan Tha Pehle Bandar
Mujhe Huzur Tumse
Nanha Munna Raahi Hoon
Zindagi Aaj Mere