Aaya hai kahan se pike deewane
Aaya hai kahan se pike deewane
Meri aankho ke bhi dekh jara maykhane
Hoye hoye aaya hai kaha se pike deewane
Shawa bhai shawa, kya maykhane
Nasha hai tera jhutha,
Sharabe teri nakali
Mahobbat bhi to nasha hai,
Nasha bhi sabse asali
Lagata hath na main ko
Mahobbat ki jo hoti
Nazar ko jam banakar
Sitamgar pi jo hoti
Tod bhi de sare jhuthe paimane
Hoye hoye
Aaya hai kahan se pike deewane
Aaya hai kahan se pike deewane
Idhar la dil ka sagar
Ha pyar ki main aise bhar du
Abhi tak deewana hai
Tujhe mastana kar du
Kasam hai tujhko meri
Na kha ye jhuthe dhokhe
Mahobbat ka tu hoja
Kaha phir roj ye moke
Pyar khud aaya tujhe samjhane
Hoye hoye
Aaya hai kahan se pike deewane
Aaya hai kahan se pike deewane
Utha aankho se parda
Nazare jaag rahe hai
Meri masum nazar me
Ishare jaag rahe hai
Mahobbat ko na thukara
Mahobbat chij badi hai
Shama ummid lagaye
Arey nadan khadi hai
Dekh kaise jalte hai parwane
Hoye hoye
Aaya hai kahan se pike deewane
Meri aankho ke bhi dekh jara maykhane
Ho ho aaya hai kahan se pike deewane...
Song Details
- Movie
- Man-Mauji
- Artist
- Madan Mohan Kohli
- Music Directory
- Madan Mohan Kohli
- Music Label
- Saregama
- Singers
- Lata Mangeshkar
- Lyricist
- Rajendra Krishan