Ek Magar Dhunde Naa Mila By Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi

Lakhon tare, aasman me, ek magar dhunde naa mila
Dekhke duneeya kee diwalee, dil meraa chupchap jala
Dil meraa chupchap jala
Lakhon tare, aasman me, ek magar dhunde naa mila
Ek magar dhunde naa mila

Kismat kaa hai, naam magar hai, kum hai yeh duneeya walo kaa
Phoonk diya hai chaman humare khwabo aur khayalo kaa
Jee karta hai khud hee ghonth de, apne armano kaa gala
Dekhke duneeya kee diwalee, dil meraa chupchap jala
Dil meraa chupchap jala

Sau sau sadiyo se lambee yeh, ghum kee rat nahee dhalatee
Iss andhiyare ke aage abb, aayee dil ek nahee chalatee
Hanste hee lut gayee chandnee, aur uthte hee chand dhala
Dekhke duneeya kee diwalee, dil meraa chupchap jala
Dil meraa chupchap jala

Maut hai behtar iss halat se, nam hai jiska majburee
Kaun musafir tay kar paya, dil se dil kee yeh duree
Kantho hee kantho se gujra, jo rahee iss rah chala
Dekhke duneeya kee diwalee, dil meraa chupchap jala
Dil meraa chupchap jala
Lakhon tare, aasman me, ek magar dhunde naa mila
Dekhke duneeya kee diwalee, dil meraa chupchap jala
Dil meraa chupchap jala...

Song Details
Movie
Hariyali Aur Rasta
Artist
Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
Music Directory
Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
Music Label
Saregama
Singers
Lata Mangeshkar, Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Lyricist
Shailendra (Shankardas Kesarilal)

more lyrics from Hariyali Aur Rasta

Bol Meri Taqdeer Main Kya Hai
Ek Magar Dhunde Naa Mila
Ek Tha Raja Ek Thi Raani
Ibtedaey Ishk Me Ham Saree Rat Jage
Kho Gaya Hai Mera Pyar
Parwano Ki Raah Me
Teri Yaad Dil Se Bhulane Chala Hu