Kuchh Sher Sunata By Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi

Kuchh sher sunaataa hoon main
Kuchh sher sunaataa hoon main
Jo tujhse mukhaatib hain
Ik husn pari dil mein hai,
Ye unse mukhaatib hain
Ik husn pari dil mein hai,
Ye unse mukhaatib hain
Seekhi hai tumse phool ne,
Hansne ki har adaa

Seekhi hawaa ne tumse hi,
Chalne ki har adaa
Aainaa tumko dekh ke,
Hairaan ho gayaa
Ek bezubaan tumse,
Pashemaan ho gayaa
Kitni bhi taareef karoon,
Rukti nahin zubaan
Rukti nahin zubaan
Kuchh sher sunaataa hoon main
Jo tujhse mukhaatib hain
Ik husn pari dil mein hai,
Ye unse mukhaatib hain
Ik husn pari dil mein hai,
Ye unse mukhaatib hain

Haathon ka loch ras bhari
Shaakhon ki daastaan
Naazuk hatheliyon pe wo,
Mehandi ka gulsitaan
Pad jaaye tumpe dhoop to,
Sanwlaaye goraa tan
Makhmal pe tum chalo to,
Chhilen paaon gulbadan
Kitni bhi taareef karoon,
Rukti nahin zubaan
Rukti nahin zubaan
Kuchh sher sunaataa hoon main
Jo tujhse mukhaatib hain
Ik husn pari dil mein hai,
Ye unse mukhaatib hain
Ik husn pari dil mein hai,
Ye unse mukhaatib hain

Aankhen agar jhuken to,
Mohabbat machal uthhen
Nazren agar uthen to,
Qayaamat machal uthhe
Andaaz main huzoor ka,
Saani nahin koyi
Donon jahaan mein aisi,
Jawaani nahin koyi
Kitni bhi taareef karoon,
Rukti nahin zubaan
Rukti nahin zubaan
Kuchh sher sunaataa hoon main
Jo tujhse mukhaatib hain
Ik husn pari dil mein hai,
Ye unse mukhaatib hain
Ik husn pari dil mein hai,
Ye unse mukhaatib hain...

Song Details
Movie
Ek Dil Sau Afsane
Artist
Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
Music Directory
Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
Music Label
Saregama
Singers
Mukesh Chand Mathur (Mukesh)
Lyricist
Hasrat Jaipuri

more lyrics from Ek Dil Sau Afsane

Dur Ke O Chanda
Ek Dil Aur Sau Afsane (Title)
Kuchh Sher Sunata
Mast Najar Dekh Idhar
O Jaadugar Pyar Ke
Suno Jee Suno Hamaree
Tum Hee Tum Ho