Rang Aur Noor Ki Baraat By Madan Mohan Kohli

Rang aur noor ki baraat
kise pesh karun
Ye muraadon ki haseen raat
kise pesh karun
Kise pesh karoon
Rang aur noor ki baraat
kise pesh karun
Ye muraadon ki haseen raat
kise pesh karun
Kise pesh karun

Maine jazbaat nibhaye hain
usulon ki jagah
Maine jazbaat nibhaye hain
usuon ki jagah
Apne armaan piro laya hun
phulon ki jagah
Tere chehre ki
Tere chehre ki ye saugaat
kise pesh karun
Ye muraadon ki haseen raat
kise pesh karun
Kise pesh karun

Ye mere sher mere
aakhri nazraane hain
Ye mere sher mere
aakhri nazraane hain
Main un apnon mein hain
Jo aaj se begaane hain
Betaaluq si mulaaqaat
kise pesh karun
Betaaluq si mulaaqaat
kise pesh karun
Ye muradon ki haseen raat
kise pesh karun
Kise pesh karun

Surkh jode ki tabotaab
mubaarak ho tujhe
Surkh jode ki tabotaab
mubaarak ho tujhe
Teri aankhon ka naya khwab
mubaarak ho tujhe
Ye meri khwaahish ye khayalat
kise pesh karun
Ye muraadon ki haseen raat
kise pesh karun
Kise pesh karun

Kaun kahta hai ke chaahat pe
sabhi ka haq hai
Kaun kahta hai ke chaahat pe
sabhi ka haq hai
Tu jise chaahe tera pyaar
usi ka haq hai
Mujhse kahde
Mujhse kahde main tera haath
kise pesh karun
Mujhse kahde main tera haath
kise pesh karun
Ye muradon ki haseen raat
kise pesh karun
Kise pesh karun
Rang aur noor ki baraat
kise pesh karun
Ye muraadon ki haseen raat
kise pesh karun
Kise pesh karun
kise pesh karun
Kise pesh karun
kise pesh karun...

Song Details
Movie
Gazal
Artist
Madan Mohan Kohli
Music Directory
Madan Mohan Kohli
Music Label
Saregama
Singers
Mohammed Rafi
Lyricist
Sahir Ludhianvi

more lyrics from Gazal

Ada Qaatil Nazar Barkebala
Dil Khush Hai Aaj Unse
Ishq Ki Garmi E Jazbaat
Mujhe Ye Phool Na De
Naghma O Sher Ki Saugaat
Rang Aur Noor Ki Baraat
Taj Tere Liye
Unse Nazrein Mili