Badli Hai Zamane Ki Nazar By Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah

Badli hai zamane ki nazar dekhiye kya ho
Badli hai zamane ki nazar dekhiye kya ho
Hona to hai kuchh aaj magar dekhiye kya ho
Hona to hai kuchh aaj magar dekhiye kya ho
Badli hai zamane ki nazar dekhiye kya ho

Ye raat to dilkash thi bade khush the sitare
Tum pas hamare the to hum pas tumhare
Ab aayi hai najdik sahar dekhiye kya ho
Hona to hai kuchh aaj magar dekhiye kya ho
Hona to hai kuchh aaj magar dekhiye kya ho
Badli hai zamane ki nazar

Ye kashti chali jati thi maujo ke sahare
Socha tha pahuch jayenge ek roz kinare
Par samne aaya hai bhawar dekhiye kya ho
Hona to hai kuchh aaj magar dekhiye kya ho
Hona to hai kuchh aaj magar dekhiye kya ho
Badli hai zamane ki nazar

Mushkil mein sabhi dete hai us dar pe sadaye
Sunte hai ke sunta hai khuda sabki duaye
Magar apni duaao ka asar dekhiye kya ho
Hona to hai kuchh aaj magar dekhiye kya ho
Hona to hai kuchh aaj magar dekhiye kya ho
Badli hai zamane ki nazar...

Song Details
Movie
Majboor
Artist
Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah
Music Directory
Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah
Music Label
Saregama
Singers
Lata Mangeshkar
Lyricist
Anand Bakshi

more lyrics from Majboor

Badli Hai Zamane Ki Nazar
Deewana Kah Ke
Tere Bina O Sajna
Tumhe Jo Bhi Dekh Lega
Yeh Baat Hoti Hai