Hum Dil Ka Kanwal By Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi

Ham dil ka kanval denge jisko hoga koi ek hazaaron mein
Saagar mein kahi jyon ik moti jaise chanda ek sitaaron mein

Ye roop rang ki phulvaari uske hi liye ye phool khile
Ye roop rang ki phulvaari uske hi liye ye phool khile
Sab kuch dena hai saunp use jis din jis pal vo aan mile
Baagon mein usi ke charche hain hai uski baat bahaaron mein

Thandi si jalan man ke andar mithi si kasak dil me lekar
Thandi si jalan man ke andar mithi si kasak dil me lekar
Ham khoj me usaki nikale hai in raho aur doraho par
Saayad vo aaj hi miljaaye hai pyaar ka rang najaro me
Saayad vo aaj hi miljaaye hai pyaar ka rang najaro me

Kisne dil jeeta taakat se chaahat kab aag se darti hain
Naadaan shikaari kya jaane hirani kis raag pe marti hain
Talvaar ka zor nahi chalta ho jaati hain baat ishaaron mein
Ham dil ka kanval denge jisko hoga koi ek hazaaron mein
Saagar mein kahi jyon ik moti jaise chanda ek sitaaron mein...

Song Details
Movie
Zindagi
Artist
Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
Music Directory
Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi
Music Label
Saregama
Singers
Lata Mangeshkar
Lyricist
Shailendra (Shankardas Kesarilal)

more lyrics from Zindagi

Chhoone Na Doongi
Ek Naye Mehman
Ghungharva Mora
Hum Dil Ka Kanwal
Hum Pyar Ka Sauda
Humne Jafa Na Seekhi
Muskura Ladle Muskura
Pehle Mile
Pyar Ki Dulhan