Agar Mujhe Na Mili Tum By Ravi Shankar Sharma (Ravi)

Agar mujhe na mili tum to me ye samjhunga
Ke dil ki raah se hokar khushi nahi guzari
Agar mujhe na mile tum to me ye samjhungi
Ke sirf umar kati zindagi na guzari

Ghazal ka husn ho tum nazb ka shabaab ho tum
Sad e saaz ho tum nagma e rabaab ho tum
Jo dil mein subha jaaga ye wo aaftab ho tum
Wo aaftab ho tum
Agar mujhe na mili tum to me ye samjhunga
Mere jahan se koi roshni nahi guzri
Agar mujhe na mile tum to me ye samjhungi
Ke sirf umar kati zindagi na guzari

Fiza me rang nazaro me jaan hai tumse
Mere liye ye zameen aasman hai tumse
Khyalo khwab ki duniya jawaan hai tumse
Jawaan hai tumse
Agar mujhe na mile tum to me ye samjhungi
Ke khwab khwab rahe bekasi nahi guzari
Agar mujhe na mili tum to me ye samjhunga
Ke dil ki raah se hokar khushi nahi guzari

Bade yakeen se maine ye hath manga hai
Ho meri wafa ne hamesha ka sath manga hai
Dilo ki pyaas ne aabe hayat manga hai
Dilo ki pyaas ne aabe hayat manga hai
Agar mujhe na mile tum to me ye samjhungi
Ke intjar ki muddat abhi nahi guzari
Agar mujhe na mili tum to me ye samjhunga
Agar mujhe na mile tum to me ye samjhungi
Ke sirf umar kati zindagi na guzari...

Song Details
Movie
Kaajal
Artist
Ravi Shankar Sharma (Ravi)
Music Directory
Ravi Shankar Sharma (Ravi)
Music Label
Saregama
Singers
Asha Bhosle, Mahendra Kapoor
Lyricist
Sahir Ludhianvi

more lyrics from Kaajal

Aapake Bhige Hue Jisam Se Aanch Aati Hai
Agar Mujhe Na Mili Tum
Chham Chham Ghungaru Bole
Chhu Lene Do Nazuk Hoton Ko
Kabiraa Nirbhay Raam Jape
Mere Bhaiyaa Mere Chandaa
Muddat Ki Tamannao Ka Sila
Samajhi Thi Ke Ye Ghar Meraa Hai
Tora Man Darpan
Ye Julf Agar Khul Ke
Zaraa Si Aur Pilaa Do Bhang