Rate badi hain badi katilana, kehti hai kya koyi janey naa
Tire najar kaa koyi hai nishana, mane koyi chahe mane naa
Tuta sitara abhi abhi, lamha darne laga
Tuta sharara abhi abhi, dil ko jalne laga
Charo taraf rava rava, bandhe koyi dhuwa dhuwa
Jayega too kahan kahan, bachna tera yaha yaha asambhav
Mai toh asambhav ko sambhav banta hu, takad mera nam hai
Kadmo me sare jahan ko jhukata hu, mera yahi kam hai
Hai jine kaa andaj mera nirala, yeh tevar mera khas hai
Dil me jo aata hai mai toh woh karta hu, daulat mere pas hai
Chehre ke pichhe bhi hai ik chehra, koyi jise pehchane naa
Pehre ke aage bhi hai ik pehra, khatre me hai yaha sabki jan
Lagta andhero sa ujala, kisne hai kee yeh khata
Kya hadsa hai honewala, kisko yaha hai pata
Sehmi si hai jamin jamin, pal bhi ruka yahi yahi
Jayega too kahan kahan, bachna tera yaha yaha asambhav
Apne hee hatho se din rat likhta hu, mai apni takdir ko
Hasil kiya maine apne hee dam pe, khabo kee tabir ko
Tujhe ek pal kee khabar bhi nahee hai, kyo barso kee parwah kare
Aani hai toh maut aayegi ik din, too har roj phir kyo mare
Bas hai ghadi do ghadi jindagani, aaya hai joh bhi woh jayega
Yeh hai adhuri adhuri kahani, puri naa too kar payega
Aaye kayamat aayi aayi, sanso me yeh shor hai
Aayi yeh afat aayi aayi, isape kahan jor hai
Sabki yahi raja raza, aaye naa woh kaza kaza
Jayega too kahan kahan, bachna tera yaha yaha..
Song Details
- Movie
- Asambhav
- Artist
- Vijay Kalyanji Shah (Viju Shah)
- Music Directory
- Vijay Kalyanji Shah (Viju Shah)
- Music Label
- Tips Music
- Singers
- Naseeruddin Shah, Hema Sardesai
- Lyricist
- Sameer